Ghar Wahin Hai Jahan...

Ghar wahin hai jahan pe zindagi shuroo hue; 
jahan bachpan guzra; 
jahan achha bura pata chala; 
jahan pehli arzoo ne janam lia; 
jahan pehli mohabbat jaagi; 
jahan pe andheri raat ki tareeki se bach ker pohchnay ki jaldi hoti hai; 
jahan pe dyar-e-gair mai wapis lautnay ki tamana hoti hai; 
Ghar wahin hai jahan ki mitti ki khushboo, jahan ki dhoop ki chah, jahan key barish ki boondien yaad aati hain; 
Ghar wahin hai jahan dil hai; 
jahan apnay hai;
jahan maa hai.

Comments

Popular posts from this blog

Yaar Ko Humne Ja Ba Ja Dekha !!!

2016: A year in review – Crossroads and then a Straight line

Life at 40