Main Sadiyoon Sey...

Main sadiyoon sey sitaron main bhatak raha tha
Tanhai ki aag main akela hi sulagh raha tha
Beetay waqt key samunder mai aaj phir
meri ankhon sey aik fasana chalak raha tha

Jab ek nazar nazar sey ashna hue
aik awaz jab dil sey rooshanas hue
kinara mila uss talaash ko yun laga
manzil wo mili, thi barson se jo khoye hue

Magar saraab tha sab, sach kuch na tha
Rooh to thi par, jism sey uss ka nata na tha
Khawab jald hi woh toot gaya
Woh lams hamesha key liye wafa na tha

Har kahaani adhoori reh gaye
Har dastaan ajnabi reh gaye
Bahut kuch guzar gaya uss rait mai
Bus chand dhundli yaadein reh gaye

Mai phir Sadiyoon tak sitaron main bhatakta raha
Yaadon ki sooli pe akela hi latakta raha
Dasht-o-Sehra paar kiye aik talaash mai
Pahaar-o-dariya sab main khojta raha

Comments

Popular posts from this blog

Yaar Ko Humne Ja Ba Ja Dekha !!!

2016: A year in review – Crossroads and then a Straight line

Life at 40