jahan bachpan guzra;
jahan achha bura pata chala;
jahan pehli arzoo ne janam lia;
jahan pehli mohabbat jaagi;
jahan pe andheri raat ki tareeki se bach ker pohchnay ki jaldi hoti hai;
jahan pe dyar-e-gair mai wapis lautnay ki tamana hoti hai;
Ghar wahin hai jahan ki mitti ki khushboo, jahan ki dhoop ki chah, jahan key barish ki boondien yaad aati hain;
Ghar wahin hai jahan dil hai;
jahan apnay hai;
jahan maa hai.
No comments:
Post a Comment